Jaa kahan rahe hain


Random / Friday, December 3rd, 2021

Jaa kahan rahe hain
Joh itne khush hain
Aur kabhi khafa
Joh chaiye hai itna
Ki sab girvi rakh den
Kya milega usko paake
Fir uske baad kuch aur
Jaa kahan rahe hain
Kya kisi ne socha

Sab lagta hai ek jaisa
Kirdaar badal jate hain
Kahani wahi rehti hai
Ye sab hota aa raha hai
Baar baar hamesha se
Fir itni bechani kyon hai
Ek baar fir ho jayega
Is baar nayak tum hoge bas
Lekin kahani toh wahi hai

Sab kehte hain ki jeelo
Wahi maksad hai jeene ka
Joh rasta bana hai
Uspe chal lo
Yahi sab karte aa rahe hain
Toh tum bhi karlo
Itni khuddari kyon hai
Apne liye nahi joh raste me hain
Unke liye hi sahi

Lekin adhoora sa lagta hai
Shayad kuch der ke liye mai nashe me aa jaaun
Sukh ka nasha
Lekin dar lagta hai
Kyonki nasha hai toh utrega hi
Sukh bhoga hai toh dukh ayega hi
Toh kyon karun ye sab jab pata hai ki ye rahega nahi

Bas chale jaa raha hun
Shayad kisi mod pe naya rasta khoj lun
Aur lagta bhi hai ki kuch milega aage
Umeed nahi chod sakta

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *