Intezar


Random / Saturday, December 7th, 2019

Ek khat ka jawab adhura hai
Baar baar mud kar dekha maine
Lekin awaaz nahi aayi

 

Bechain hota hun

Kahin meri galti toh nahi

Shayad tum jawaab de rahi ho

Aur mai sun nahi paa raha

Isse jayda aur kya lachari hogi

Tumhari khamoshi me bhi khud ko kosta hun

 

Kai baar bhoolne ka mann kiya
Aage bad bhi gaya lekin fir ruk gaya
Kahin tum wafadaar aur mai bewafa na ban jaaun
Pyar joh kabhi mukammal na hua uska gunahgar mai na ban jaaun

Jab samne thi toh kai baar socha keh dun tumse
Lekin apne mann ko tumpe thopna nahi chaha
Kya pata tumhe achha lage ya bura
Tumhari razamandi dhoondta raha tab aur ab jawaab dhoond raha hun

Ab jab sochta hun toh khayal ata hai
Ki shayad tum bhi kuch kehna chahti thi
Warna woh rukna, ek pal ke liye jayda dekhna,
ankhon me sawaal dhoonda aur hasi se jawaab de jana kis liye tha
Bas isi gudgudahat ke saath man ki tasalli kar leta hun
Ki ye meri nakami nahi, kismat hai
Aur shayad hum fir mile kabhi,
toh kuch sawaal kar paaun tumse
Tab tak ek khat ka jawaab adhoora hai..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *